Thursday, April 30, 2009

"VIRAH"

wo kya pal tha jo beet gaya,
ek saathi ka daman choot gaya.....
na hum rahe, na wo rahe,
wo khushiyon ka saawan beet gaya.....


yun aankon mein meri jo aansoon aaye,
inhi dharaaon mein maine wo ghum bhulaye....
darta hoon, wo din phir laut na aaye,
kya pata zalim, ek janm mein do baar rulaye....


dhadkan ne uska naam liya, par maine kabhi suna nahi,
faasle badhe, dooriyaan badhi, tanhayeean bhi mili....
ye din bhi dekhna hoga ye maine kabhi socha nahi,
kya yahi wo pyaar tha, jo mujhe kabhi mila nahi....


main kya tha, main kya hoon, ye pata nahi,
har zarre mein dhoondh raha ...par mila nahi....
shayad meri saza yahi,
kyun maine usse kuch kaha nahi........

7 comments:

EMPEROR'S BLOGS said...

sentiments on paper...er webpage.
We guys usually realize later tat we were 2 late,2 late 2 xpress ourselves.

Aayush Anand said...

kya hua tumhe... ye hindi mein shayari aur kavita.... wot a change yaar!!!!

Aayush Anand said...

waise mast hai

Abhishek Choudhary said...

its pretty old yaar ....ws published in d coll mag ....

Ritzzee said...

abhi yeh kavita se toh yeh saaf pata chalta hain ki woh ladki jiski talaash thi woh aapko milgayi hain magar aap kuch kehna nai chahte magar kyu.....??

Ritzzee said...

kya intezar kar rahae ho ki woh hi aapko kuch kahein .....anyways dil se likha hain .... aisa lagta hain jaise ki kisiko yaad karke likha ho ......beyond ordinary words .... hats off...

Pranav...Daring 2 dream... said...

Heart touching...