Sunday, April 26, 2009



yun zheel si gahrai waale tere ye nain,

na jaane kitno ke loot gaye chaain....


shayad tumhe pata nahi kya ehmiyat hai tumhaari,
jitni jaldi jaan lo,ye kismat hogi hamari....


jo dil mein hai tumhaare wo bayan hota hai ye jaan lo,
chahe tum chaho , ya na chaho....


yun na bahaya karo in keemti motiyon ko jaani,
beparwah logon ke liye hain ye sirf paani....

yun tanha na jiya karo tum,
kyunki jinhe fark padta hai, unme se hain ek hum....


dosti ka haath jo thaama hai humne,
nibhayenge, na todenge vishwas jo kiya hai tumne....


chune hue raah se alag chalo kabhi,
mausam bhi badlenge, tum bhi badlo kabhi....


kyun karti ho khud pe itne saare zulm,
duniya tumhare kadamon pe rakh doon, bas karo hukm....


bharosa jo kiya hai use rakho kuch samay tak,
bas chahiye humein thoda, thoda sa waqt...........


5 comments:

Dee said...

Abe aisa kyu lag raha hai ki wo homepage wali photu college ke library mein li gayi hai???
Bhai mast hai..
Great!!!
Kisne liya hai??

Abhishek Choudhary said...

ya ..it is in d library

somya shikha said...

is kavita se tumhari tadap ka pata chala...khushnasib hogi wo ladki jiske liye tumane ye likha hai.....good one..

Abhishek Choudhary said...

arre kisi k liye nahi likha ....bas aise hi hypothetical hai ....

Ritzzee said...

abhi yeh kavita toh aapnae kisike liye likhi hain na .....